بِسْمِ اللهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِيْمِ
Alamat E qayamat main se bari bari nishaniyan guzer chuki hian, or bari bari nishaniyan ab hamare saamne hain. Or aj kal jo treekh me kuch tahzeeben hain jese tehzeeb E Faaris, Tehzeeb E Rome, tehzeeb E Yoonaan, tehzeeb E Miser, ye who tehzeeben hain jika ziker humen taareekh ki roshni me milta hai jese ke tehzeeb E Arabia islaam se pehle ka zamana in sab tehzeebon me sab se najis chiiz sab se haqeer chiz Aurat ko Samjha jata hai, Roman tehzeeb me to ye bhi jaaiz tha ke husband agar chahe to apni wife ko qatal karde,
isi terhan Faarsi me aaj bhi aurat ko (Zann) kehte hain, or tehzeebe miser me oraton ki mandian lagti thi wahan unko becha jata tha unke husn ki treefen hoti thi, tehzeeb E Yonaan islam se pehle ka zamana ke unke nazdeek aurat aik aysi haqeer cheez thi ke Allah ne Quraan me Farmaya ( agar kisi ko khaber milti ke us ke gher me larki peda hui hai to chehra siyah hojata ghuse se) yaani ke wajood E zann aik orat ka peda hona unke liye qabil E muzamat tha, or jab larki peda hoti to usko usi wqt qatal kerdia jata zinda zameen me dafan kerdia jata tha,isliye ke daur e jahliyat me ye samjha jata tha ke orat akhir chiz kia hai na ye hamara dast e baazu ban sakti hai na hamare dushmano se lar sakti hai ise peda karo khilao pilao or jab jawan hojaiy to aik ghair mard ke hawale kardo is se humain to koi faaida nahi,
mazhab e majoos me majoos kehte hen aag parast yani ke jo aag ki pooja kerte hain jo aatish parast the aaj bhi wo log mojood hain parsi kehlate hain, or majoosi ye samjhte the ke larki hamare gher me peda hui hai hum ne uski parwarish ki hai ab isey kisi ghair mard ko kun den isliye who behen ki shaadi bhai kar dete the, Nauzubillah who apne bhai ki biwi ban jati thi.
Or is waqt poore alam me yahoodi jo apne ap ko kehte hain ke sab se qabil e izat qaom jo hai woh yahoodi ki hai baki sab to un ki nazer me koi ahmiyat nahi rakhte dunia me her mazhab ye chahta hai us ke log bharhe us ke perokaar uske manne wale ziyada hon lekin yahoodi aik aysa mazhab hai ke koi un ke mazhab me agar shaamil hona chahe who shaamil nahi karte ye aik aysa mazhab hai ke apne ander or kisi ko nahi ane deta, or yahoodi aysa mazhab hai ke orat us ke nazdik aik najis chiz hai, or daur e jahliyat me chaha to orat ko zinda dargor kar dia yani zinda dafan kerdia,
Aik admi islaam laane ke baad huzur paak sallallaho alehi wasallam ki khidamt me haazir hua or kaha ya rasoolallah mene apni 5 zinda betion ko apne hathon se zinda dafan kerdia, huzur paak ne kaha tumhen reham nahi aya apni betion ko tum ne zinda dafan kerdia, us ne kaha me jungle me gaya or qabar tayar ker ke aya or apni beti ko wahan le ker gaya or us qabar ki safai shuru kar di ke isey shak na ho, jab who mitti orh ker mere chehre per parti to meri beti apne duppatte se mera mchehra saaf kerti, huzur ne farmaya phir bhi tumhen reham nahi aya, kaha nahi aya ya rasoolallah mene phir bhi usey zinda dafan kerdia, isi ko Quraan me bayaan kia hai ke, allah farmate hian ke qayamat wale din jin lerkion ko zinda dafan kia gaya wo kahengi ya allah hamare qaatilon se poocho humen kis baat ki saza di gayi me kis gunah ki waja se qatal ki gayi.
Saari duniya ki tehzeebon per nazer daalen kahin bhi oraat ko maqaam nahi mila koi tareekh koi kitaab aysi nahi jis me ye pata chala ho ke orat ko izat ya ,maqam mila ho.
Ye sharf ye martaba ye izzat agar orat ko dia hia o sirf islaam ne dia hai.
Islaam ne aaj orat ka aik maqaam banaya hai islaam ne aker bataya hai ke orat maa hoti hia behen hoti hi beti hoti hai orat biwi hoti hia or islaam ne uske huqooq ki wazahat ki hai ke orat ke huqooq kia hian maa ke huqooq kia hian behen ke huqooq kia hain beti ke huqooq kia hai or biwi ke huqooq kia hain,
Or ye haq bhi islaam ne dia hia ke jese mard muhadessa hai or bhi muhadessa hai,
Mard bhi muffasir hai orat bhi muffasira hai.
Mard aalim hai orat bhi aalima hia.
Mard mubbaligh hai orat bhi mubaligha hai.
Ye maqaam orat ko sirf islaam ne dia hia ke jese bare bare sahaba hazrat hurera r.a hain hazarat e khulfai rashideen hian hazrat e abdullah ibne masood hian bare bare jalil ul qadr sahaba r.a hain jese saari duniya ilm me un ke dar ki muhtaaj hai, isi terhan who orat ke bibi Aysha ke, bibi umm e salma ke, umm e habiba ke, bibi hafsa ke dar ke muhtaj hian, ye martaba sirf islaam ne dia hai.
Ap kisi bhi mazhab kisi bhi tareekh poore alam ki tawareekh pe nazar daal len lekin jo izzat azmat martaba islaam ne orat ko dia hai who kisi or mazhab ne kabhi nahi dia. Allah ke quraan ki nazer me orat ka kia maqam hai hadees ki nazar me kia maqam hai sahaba, fuqaha ki nazer me orat ka kia maqaam hai or un ke huqooq kia hain un ke masaail un ke ahkaam kia hian ye sab agar aaj ki oraat islaam me us ka kia maqaam hai agar na samjhe to ye islaam ka kasoor nahi hia us ki apni jahalat ka kasoor hai uske fashion ka society ka kasoor hai.
No comments:
Post a Comment
Say In comments....sallallahu alaika ya rasool allah