Assalamu’alaikum warahmatullahi wabarakatuh
Part: 3
Hussain kal bhi zinda tha Hussain aj bhi zinda hai
waqt guzerta gaya,
60 hijri main yazeed takht nasheen hua
yazeed badkaar shakhs tha ibn-e-aseer or dusri bari bari tawareekh main uske siyah kaarnamo ke tazkare mojood hain
woh zaani tha, sharaabhi tha, musalmano ka qaatil tha bint-e-inab ke saath sheher-e-mecca or madeena me jo us ki badmashiyan hain un se kon be khaber hai.
us ne shehre-e-mecca main beth kar sharaab pi
imaam hussain R.A ne yazeed ki badkarion ko apni ankhon ke saamne dekha tha or us ke siyah kaarnamo ko
hazrat-e-Abdullah faarmate hain ke hum ne us waqt us pe khurooj kia jab humain yakeen ho gaya ke us ke in siyah karnaamo ki waja se kahin asmaan se pather na barasna shuru hojain,
sirf Waqia-e-karbala hi nahi usne madeena ke ander 700 sahaba ko shaheed kia, 10,000 tabi'een ko qatal kia or 300 nojawan khawateeno ki aabroo rezi karwayi or mecca mukarama main yazeed ne ka'abatullah pe sang baari ki,
ye taareekh ke hawale hain.
itni sang baari ki ke poora mataf pathron se bher gaya,
hazrat-e-ismail aleh salam ke awez main jo dunba aya tha us ke seeng ka'abatullah ki chat pe rakhe gaye the woh seeng bhi jal gaye isi liye in ayaam ko ayaam-e-hurra kaha jata hai tareekh ke ander.
3 din tak masjid-e-nabwi main na azaan hui na iqamat hui
or msjid-e-nabwi ke ander yazeed ki fauj ke ghorey bandhe rahe
mimber-e-Rasool S.A.W ki hurmat paamal kardi gayi
ab wo yazeed jab takht nasheen hua to hazrat-e-imaam hussain R.A ko waleed bin uq'ba ne bula kar kaha k aap yazeed ke liye bait karlain
to hazrat-e-imaam hussain R.a ne kaha ke ye kese ho sakta hai ke me us jese zaalim shakhs ke haath per bait karoon,
ap R.A ye keh kar paltey to Marwaan bin hakam ne mashwara dia ke ye moka hai jaane na do agar ye chale gaye kaabu panaa dobara mushkil hoga lehaza abhi in ko qatal kerdia jaye,
ye hazrat hussain R.A ke kaano me awaaz pari, riwayaat main ata hai ke aap ne piche palat ker Niyaam se Talwar baahir nikali or hawa main lehraani shuru kardi
kaha waleed bin uq'ba tu hummain nahi jaanta hum kon hian?
Main Hussain Ali R.A ka beta hoon or Ali.R.A abi talib ka beta hai
hamare gher main Quraan uterta raha hai, farishte hamare gher main ate rahe hian
wa-yazeed ibnul muawia faasikun faajirun qatilun nafsi
or yazeed faasiq hai fajir hai musalmano ka qatil hai or sharaab peeta hai,
Isliye Hussain R.A yazeed ki bait se inkaar karta hai
hazrat-e-imaam hussain R.A ne inkaar-e-bait ki wajah bayan kardi.
Aj ye propaganda kia jata hai ke ye do shehzadon ki jung thi or ye iqtidar keliye sab kuch hua,
agar ye baat hoti to Tarmah bin Adi keh raha hai Hatim Tai ka poata jab ap medan-e-karbala ki taraf bharh rahe hain kaha huzur ap mere paharon main ajain or 5000 ka lashker ap ke piche rakh doonga or ap jahan jainge woh jaan nisaari kerte hue ap ke piche honge or yazeed ki hukumat ke tukre kar ke rakh deinge.
Hazrat hussain R.A ne Tarmah bin Adi bin Hatim ki is offer ko thukra dia kaha main to kisi or kaam keliye ja raha hoon.
yazeed ke chehre se us naqab ko nochna tha
uske makrooh chehre ko logo ke saamne nanga ker ke batlana tha ke ye wo shakhs hai ke jis ke baare main mere Nana Rasool S.A.W ne khaber di hai ke bannu umayah ka aik zaalim shakhs meri sunnat ko badle ga or woh sunnat ko badalne wala yehi shakhs yazeed hai.
hazrat imaam hussain R.A ne madeena chora agr 8 din koi haaji madeena me rehta hai or chorna qyamat se kam nahi hota
or hussain R.A to peda madeene main peda hue the woh khelne keliyee nikalte the to masjid-e-nabwi ka sehan hota tha
hazrat imaam hussain R.a ke gher ka darwaza masjid-e-nabwi ke ander khulta tha aaj woh hussain R.A us sheher-e-madeene ki baharon ko chor rahe hain
huzur Paak S.A.W ki baargah me akhri salaam keh ke apni walida majida ke huzur salaam kehne ke baad hazrat hussain R.A madeen se mecca gaye
wahan pohnch ke aap R.a maah-e- shabaan ,maah-e-ramazan, maah-e-shawal, maah-e-zee qa'ad, or zeelhuj, ke kuch din guzare
2 zeelhuj ko ya aik riwayat main 7, 8 zeelhuj ko phir shehre meca bhi chor dia.
150 khutoot (letters) the koofio ke jinhon ne likha tha ke hamara imaam koi nahi aap R.a aain hum apke haath per bait karna chahte hain
sahaba R.A ne unki be murawti or bewafai ka tazkara kia to hazrat hussain R.A ne farmaya main jaanta hoon unke rawaiyon ko
lekin ab unhon ne mujhe khat likhe hian or agar me na gaya to woh qayamat ke din kahenge ke maalik humne to tere Rasool S.A.W ke nawase ko bulaya tha woh hamari madad keliye nahi pohnche,
farmaya agar me jata hoon or kalima-e-huq buland hojata hai to phir bhi theek agar wo bewafai kerte hen to phir bhi koi baat nahi me muraad ko pohncha hua apne aap ko paonga.
aap R.A mecca se koofa ki taraf rawana hue raaste me hazrat muslim bin aqeel ki shadat ki khaber mili lekin phir bhi aage bherte chale gaye
koofa se do manzil door hurr bin yazeed riyahi 1000 ke lashker ke saath zahir hua or ap ko rok ker medan-e-karbala me le gaya
aap R.a ne kaha ke me yazeed ki bait kisi soorat nahi karoonga
jise sirf huq hi qubool ho
yehi jiska asl-e-usool ho
jo na jhuk sake jo na bik sake
usey karblein hi raas hian
hazrat imaam hussain R.A karbala ke tapte hue medan me 2 muharram ko pohnche
or 9 muharram tak ap mukhtalif andaaz se mufahimat ki baat is andaaz se kerte rahe ke me bait nahi karoonga lekin kusht-o-khoon se bhi bachna chhata hoon, lekin unka aik hi mutaaliba tha ke har soorat main bait karna hogi uske ilawa koi soorat nahi hai
inka ye mutaliba tha inki baat ye thi ke bait to me kisi soorat nahi karoonga
kunke inkaar-e-bait ki jo waja ap ne waha bayaan ki wo waja her soorat mojood thi isliye kaha ke me kisi soorat yazeed ke hath pe bait nahi karoonga,
waqt guzarta gaya or 9 muharram ko ye baat tey hogayi ke larne keliye tayar hojao agar aap R.A ne bait nhai karni to
bait karne ki soorat main mara'aat se nawaza ja raha tha, lekin imaam hussain R.A ne farmaya ke ye takht-o-taaj kia cheez hain
mujhe in takht-o-taaj ki parwah nahi me to kalimatul huq keliye medan-e-amal main aya hoon
ap R.A ne maqam-e-bezah me khutba dete hue kaha tha ke logo me jaanta hoon ke mere saath kia hone wala hai lekin me medaan me isliye ja raha hoon,
ke meri zindagi tumhare liye aik namoona ban jaye.
Malik-e-konain hian paas kuch rakhte nahi
Do jehaan ki nematain hain un ke khaali haath main
to be continued....
============================================
Assalamu’alaikum warahmatullahi wabarakatuh
Part: 2
Hussain kal bhi zinda tha Hussain aj bhi zinda hai
Gher me beti faaqon se hai lekin peghamber-e-Islaam tableegh jari kiye hue hain
kabhi taa'aif ke bazaron me pather khaye ja rahe hain kabhi mecca ki galion main kaanten bich rhe hain
kabhi garhe khodey ja rahe hain
jin raahon se guzerte hain aik burhiya musalsal kachra phenkti hai
makatul
mukarama ka mahol jin aziyaton se bhar dia gaya tareekh ka koi bhi
lekher is se be khaber nahi ke huzur S.A.W haath me pather othay hue
hain or masjid-e-Nabwi ki tameer kar rahe hain is deen keliye kin kin
raahon se guzerte hain
Shaab-e-abi talib ke ander jo dukh sahe jo takleefain bardasht ki un ko kon bhool sakta hai
aurton
ki chation se dhoodh sookh gaya or jab shaab-e-abi talib ki ghaati main
bache rote hain bhook se trapte hain to un ki Ma'ain ye kehti hain ke
chup ho jao agar kaafiro ne sun lia to huzur S.A.W ko taana de ge
to
bache chup ho jate hain jis andaaz main is deen ko huzur S.A.W ne
seencha or is ki buniyaado main apna or apne Ashaab R.A ka lahoo dia
Bilal Habshi R.A ki qurbanio ko kon bhool sakta hia
Hazrat-e-summaiya ki qurbani ko kon bhool sakta hia
Hazrat-e-Ammar Ibn Yasir ki qurbanio ko kon bhool sakta hai
is
deen ke chamman ko seencha or jab deen ke chamman pe phal aya to Allah
paak ne Apne Mehboob S.A.W se kaha Mehboob ab Ap S.A.W ki marzi kia hai
is chamman ko chaar din dkeha hai ya mere pass ana hai
To Huzur S.A.W ne Arz ki Maalik jo meri zimedari thi woh mene poori kerdi
Allahumma bi Rafiki aala
main to tere huzur haazir hona chahta hoon
Sahaba
R.A ne us deen ki phir hifazat ki hazrat-e-Abu Bakr Siddique R.A ne
apna khoon-e-jiger pesh kia hazrte-e-Umr R.A ne apni zindagi ka aik aik
lamha is deen ke liye wakf kerdia
hazrat-e-usmaan
Ghani.RA ne jo huzur S.A.W ne khilafat ki tameez di thi us ki aabroo
bachane keliye kurbaani de di bhooke or Piyaase Shahadat qubool karli
lekin Jabar ko qubool na kia
Hazrat-e-Ali R.A ne jis himat-o-istiqamat ka muzhira kia woh bhi tareekh ke saamne hai.
Hazrat-e-Ali R.A ne jis himat-o-istiqamat ka muzhira kia woh bhi tareekh ke saamne hai.
Malik-e-konain hian paas kuch rakhte nahi
Do jehaan ki nematain hain un ke khaali haath main
to be continued....
Assalamu’alaikum warahmatullahi wabarakatuh
Part: 1
Hussain kal bhi zinda tha Hussain aj bhi zinda hai
jabke aaj log yazeed ki qaber ka nishan bhi nahi jaante yazeed ka naam lewa is duniya me apko koi nahi milega
Lekin jab hum Hussain r.a ka naam lete hain sar fakher se buland hojata hai
Lekin jab hum Hussain r.a ka naam lete hain sar fakher se buland hojata hai
fakher ka dil main dareecha baaz karna chhaiye
jin ka too Aaqa hai un ko Naaz karna chahiye
karbala ka hadisa koi maamooli waqia nahi tha balke do kirdron ka naam hai aik kirdar yazeed hai or aik kirdar Imaam Hussain R.A hain
yazeed zulm ka baani tha or imaam hussain r.a huq ke alambardar the
yazeed ne islaam ki kadron ko paa mal karna chaha hazrat-e-imaam hussain apna khoon le ker dasht-e- karbala main agaye
or un hon ne huq ki kadron ko paa mal hone se bacha lia
hazrat Muhammad Sallallaho alehi wasalam ne jis mehnat ke saath deen ko seencha tha or mecca ke ander logon ko dawat-e-huq de ker naslon tak paigham-e-huq pohchaya phir madeene ke ander zindagi ke aik aik lamhe ko masroof-e-amal rakha Allah ke deen or kalima ko buland kerne ke liye huzur S.A.W ne apne shab-o-roz aik kiye gher main faaqey rahe lekin deen ka kaam or tableegh jaari rahi
imaam munzri ne At-Targheeb wa-Targheeb
ke ander aik waqia likha hai aik din huzur paak sallallaho alehi wasalm sakht bhook me masjid-e-nabwi se bahir aye to agey sheikhen khare the kuch or sahabi mil gaye chund qadam age chale to Hazrat-e-abu ayub ansari r.a ka makaan agaya woh khushbu-e-Rasool soongh ke jaldi jaldi gher se bahir aye
or arz ki huzur s.a.w aap mere mehmaan ban jain or mujhe chund lamhon ke liye mezbaani ka sharf bakhsh den
Aaqa kareem ne farmaya abu ayub ap ki marzi,
abu ayub ansari ne jaldi jaldi aik chatai bichayi or huzur s.a.w ko bithaya or ahl-e-khana ko aik bakri ka bacha zabah ker ke dia kaha jaldi khana tayar kardo mere aaqa ko sakht bhook lagi hui hai
ye keh ker huzur s.a.w. ki khidmat main aa ker beth gaye jese hi nazar huzur paak s.a.w ke chehra mubark pe pari to ghabra gaye, ke chehre pe aasaar-e-naqahat the pata nhai kitne dinon se huzur s.a.w ne khana nahi khaya,
jaldi se baagh me gaye or khujoor ka aik khoosha e laye or huzur s.a.w ke saamne pesh kia or kaha huzur khana pakne main dair hai utni dair ap ye khujoor tanawul farmain
Imaam munzri likhte hain...jab khana tayar ho gaya or huzur s.a.w ke saamne rakh dia gaya or arz ki gayi huzur ye tanawul farmayiye to jese hi huzur s.a.w ki nazer us khane pe pari to aankhain ashk bar hogyi or phir aik roti per kuch botiyan rakhi or khaadim ko dete hue kaha jao hamare gher de aao meri beti fatima kitne dinon se bhooki hain

to be continued.....
No comments:
Post a Comment
Say In comments....sallallahu alaika ya rasool allah